Jagat Guru Rampal Ji Maharaj
Message to Trader of Devotion
Which God has to be Worshipped?
-
Gita Ji Adhyay no. 15 Shlok no. 16
Dwau, imau, purushau, loke, ksharH, ch, aksharH, ev, ch,
KsharH, sarvani, bhootani, kootasthH, aksharH, uchyate ||16||Translation: In this world, there are two types of Gods, Perishable (Kshar Purush) and Imperishable (Akshar Purush). Likewise, in these two loks, the bodies of all the living beings are said to be perishable and the soul, imperishable.
Gita Ji Adhyay no. 15 Shlok no. 17
UttamH, purushH, tu, anyaH, Parmatma, iti, udahrtH,
YaH, loktryam', aavishya, bibharti, avyyaH, iishwarH ||17||Translation: The Supreme God is, however, someone else other than the two aforesaid Gods, Kshar Purush and Akshar Purush, who by entering the three loks, sustains everyone and is called as Parmatma / God who is the Eternal Parmeshwar.
Kabir, Akshar Purush ek ped hai, Niranjan vaaki daar |
Trideva (Brahma, Vishnu, Shiv) shaakha bhaye, paat bhya sansaar ||
Kabir, teen devko sab koi dhyaavae, chautha devka maram na pavae |
Chautha chhaadi pancham dhyaavae, kahae Kabir so humre aavae ||
Kabir, teen gunan ki bhakti mein, bhooli paryau sansaar |
Kahae Kabir nij naam bin, kaise utrae paar ||
Kabir, omkaar naam Brahm (Kaal) ka, yeh karta mati jaani |
Saacha shabd Kabir ka, parda maahi pahichaani ||
Kabir, teen lok sab Ram japat hai, jaan mukti ko dhaam |
Ramchandra vashishth guru kiya, tin kahi sunaayo naam ||
Kabir, Ram Krishna avatar hain, inka naahi sansaar |
Jin Sahib sansaar kiya, so kinhu na janmya naari ||
Kabir, chaar bhujake bhajan mein, bhuli pare sab sant |
Kabira sumirae taasu ko, jaake bhuja anant ||
Kabir, vashishth muni se tatveta gyaani, shodh kar lagn dharae |
Sita haran maran dashrath ko, ban ban Ram firae ||
Kabir, samudr paati lanka gaye, sita ko bhartaar |
Taahi agust muni peey gayo, inmein ko kartaar ||
Kabir, govardhan Krishna Ji uthaaya, dronagiri hanumant |
Shesh naag sab srishti uthaai, inmein ko bhagwant ||
Garib, durvaasa kope tahaan, samajh na aai neech |
Chhappan koti yadav kate, machi rudhir ki keech ||
Kabir, kaate bandhan vipati mein, kathin kiya sangraam |
Chinho re nar praaniyaan, garud bado ki Ram ||
Kabir, kah Kabir chit chetahu, shabd karau niruvaar |
Shri Ramchandra ko karta kahat hain, bhooli paryo sansaar ||
Kabir, jin Ram Krishna Niranjan kiya, so to karta nyaar |
Andha gyaan na bujhaii, kahae Kabir bichaar ||
Kabir, teen gunan (Brahma, Vishnu, Shiv) ki bhakti mein, bhool padyo sansaar|
Kahae Kabir nij naam bina, kaise utro paar ||||Shabd || (composed by Sant Rampal Das)
Yudh jeet kar Pandav, khushi huye apaar |
indraprasth ki gaddi par, Yudhishthir ki sarkaar ||1||
Ek din Arjun poochhta, sun Krishna bhagwan |
ek baar fir suna diyo, vo nirmal Gita gyaan ||2||
Ghamaasaan yudh ke kaaran, bhool padi hai mohe |
jyon ka tyon kehna bhagwan, tanik na antar hoye ||3||
Rishi muni aur devta, sabko rahe tum khaay |
inko bhi nahin chhoda aapne, rahe tumhaare hi gun gaaye ||4||
Krishna bole Arjun se, yeh galti kyon kinh |
aise nirmal gyaan ko bhool gaya buddhiheen ||5||
Ab mujhe bhi kuchh yaad nahin, bhool padi nidaan |
jyon ka tyon us Gita ka main, nahin kar sakta gungaan ||6||
Swayam Shri Krishna ko yaad nahin, aur Arjun ko dhamkaave |
buddhi Kaal ke haath hai, chaahe triloki naath kahlaave ||7||
Gyaan heen prchaarka, gyaan kathein din raat |
jo sarv ko khaane wala, kahein usi ki baat ||8||
Sab kahein bhagwan krpaalu hai, kripa karein dayaal |
jiski sab pooja karein, vah swayam kahae main Kaal ||9||
Maarae khaavae sab ko, vah kaisa kripaalu |
kutte gadhe suar banaavae hai, fir bhi deen dayaal ||10||
Bible Ved Quran hai, jaise chaand prkaas |
suraj gyaan Kabir ka, karae timar ka naash ||11||
Rampal saach kahae, karo vivek vichaar |
Satnaam va Saarnaam, yahi mantra hai saar ||12||
Kabir hamaara Ram hai, vo hai deen dayaal |
sankat mochan kasht haran, gun gaavae Rampal ||13||||Shabd || (composed by Sant Rampal Das)
Brahma Vishnu Shiv, hain teen lok prdhaan |
Ashtangi inki mata hai, aur pita Kaal bhagwan ||1||
Ek laakh ko Kaal, nit khaavae seena taan |
Brahma banaavae Vishnu paalae, Shiv kar de kalyaan ||2||
Arjun darke poochhta hai, yeh kaun roop bhagwan |
kahae Niranjan main Kaal hoon, sabko aaya khaan ||3||
Brahm naam isi ka hai, ved karein gungaan |
janm maran chaurasi, yeh iska sanvidhaan ||4||
Chaar Ram ki bhakti mein, lag raha sansaar |
paanchvein Ram ka gyaan nahin, jo paar utaaranhaar ||5||
Brahma-Vishnu-Shiv teeno gun hain, doosra Prakriti ka jaal |
laakh jeev nit bhakshan kare, Ram teesra Kaal ||6||
Akshar Purush hai Ram chautha, jaise chandrma jaan |
paanchva Ram Kabir hai, jaise uday hua bhaan ||7||
Ramdevanand guru Ji, kar gaye najar nihaal |
Satnaam ka diya khajaana, bartae Rampal ||8||
